Ashk-e-sawan
Mei itni
Shiddat nahi
Dekhi..
Pehle kabi dil ki
Ye haalat nahi
Dekhi..
Hr shakhs ki
Ankhon mei Lahoo dekha hai..
Tere shehr k
Logon mei
Muhabat nahi
Dekhi..
Tu kinary ka
Shajar hay
Talatum se
Be-khabar hai..
Tune kabi
Lehron ki
Baghawat nahi
Dekhi..
Aik muddat se ye
Aankhein
Soi nahi MOHSIN,
Aik arsy se yaar ki
Soorat nahi Dekhi.
No comments:
Post a Comment